how to facial at home in hindi

Saaf or chamakdaar chehra har koi pana chahta hai. Lekin saaf or chamakdaar chehra pane ke liye skin ki dekhbhal karna bhi bahut jaruri hai. Aise me sabse pehle jo naam aata hai vo hai facial. Facial ek beauty treatment hai jo tvacha ko exfoliate karta hai aur jawaan or swastha bnane me madad karta hai. Facial karaane ke liye log bade bade beauty parlour me jaate hai or hazaaro rupayo ka kharcha karte hai. Lekin aap ghar par bhi aasani se facial kar sakte hai. Ghar par facial kaise kare? Is prashn ka jawaab apko is lekh me milega. Ghar par facial karne ka tarika bahut aasan hai. Ghar par facial karna bhi utna hi aaramdayak hota hai jitna ki parlour me karaya facial.How to facial at home in hindiStep 1 Cleansing Aaj kal itne pradushan ke kaaran chehre par dhul mitti jmaa ho jaati hai. Jisase rom chhidra band ho jaate hai aur acne or dark spots ki samasya ho jaati hai. Iske liye zaruri hai ki aap face ko achchhe se clean kare. Face ko clean karne ke liye aap face wash ya cleanser ka prayog kar sakte hai. Ye pores mein se dirt ko bahar nikaalta hai or skin ko saaf rakhta hai.Kaise kareSabse pehle chehre ko gungune paani se saaf kare. Phir apne skin type ke anusaar face wash ko chehre par massage karte hue lgaaye aur chehre ko gungune paani se dho le.Step 2 Scrubing Scrubing exfoliation me bahut madad karta hai. Scrubing se dirt, black heads aur white heads bahar nikal jaate hai. Ye dead cells ko bhi remove karne mein madad karta hai. Aap scrub ko ghar par bhi banaa sakte hai. Iske liye ek chammach honey, ek chammach paani aur ek chammach chini ko milaa le.Kaise kareIske liye apni skin type ke anusaar scrub le. Ab isse halke haatho se chehre par massage kare. 5 minute tak massage karne ke baad chehre ko paani me bhigi hui rui ki shahyta se pochh le.Step 3 Massage Massage ek bahut hi aaram dene wala step hai. Massage se blood circulation badhta hai jisse chehre par glow aataa hai. Isse dead cells hat jaate hai aur tvacha mein lachilapan aata hai.Kaise kareApni skin type ke anusar face cream le. Ab isme thoda sa gulab jal mila le. Ab isse halke haatho se chehre ki massage kare. 5 se 10 minute tak massage karne ke baad chehre ko paani me bhigi hui rui se pochh le.Step 4 Steaming Steaming yaani bhaap lena apki tvacha ke liye bahut faydemand hai. Bhaap lene se rom chhidra khul jaate hai jisse pimples aur black heads se chhutkara milta hai. Isse apke chehre par glow bhi aataa hai.Kaise kareEk bartan me 2 se 3 cup paani ko ubaal le. Ab chehre ko bartan ke upar thodi doori par laaye. Ab tauliye se apne sir ko ache se dhak le. Aisa 15 minute ke liye kare.Step 4 Face pack Steam lene ke baad chehre par face pack lgaaye. Face pack ke prayog se chehre par nikhaar aata hai aur tvachaa mulaayam hoti hai. Aap apni skin type ke anusaar hi face pack aa chayan kare. Aap face pack ghar par bhi banaa sakte hai. Iske liye 2 chammach pisa hua oats le. Ab isme 1 chammach dahi milaaye. Face pack tayaar hai.Kaise kareFace pack ki ek parat ko poore chehre par ache se lagaa le. Ab ise sookhane de. 15 se 20 minute baad jab face pack sookh jaaye to paani se ache se chehre ko dho le.Step 5 Moisturize Face pack lgaane ke baad chehre ko moisturize kiya jata hai. Chehre ko moisturize karne se tvacha me nami bani rehti hai aur tvacha mulaayam ho jaati hai.Kaise kare Iske liye apki skin type ke anusaar moisturizer le. Ab ise chehre par ache se lgaa le.Step 6 Toning Toning facial ka sabse antim step hai. Toning se tvacha me maujood excess oil nikal jata hai aur tvacha ka pH level balance rehta hai. Ye tvacha ko hydrate rakhne me bhi madad karta hai.Kaise kare Iske liye aap apni skin type ke anusaar toner le. Aap chahe to gulab jal kaa bhi prayog kar sakte hai. Ab rui ki sahayta se ise ache se chehre par lgaa le how to facial at home in hindi.Hair Growth: 7 Natural Home Remedies for Hair Growth - NDTV Food